Inaam azmi
Ghazal 11
Sher-o-Shayari 5
us ne is tarah se badla hai ravayya apnā
pūchhnā paḌtā hai har vaqt tumhīñ ho nā dost
us ne is tarah se badla hai rawayya apna
puchhna paDta hai har waqt tumhin ho na dost
- Add to favorites
-
Share this
mujhe pata hai mohabbat meñ kyā guzartī hai
so tujh se ishq nahīñ tujh se dostī karūñgā
mujhe pata hai mohabbat mein kya guzarti hai
so tujh se ishq nahin tujh se dosti karunga
- Add to favorites
-
Share this
añdhere is liye rahte haiñ saath saath mire
ye jānte haiñ maiñ ik roz raushnī karūñgā
andhere is liye rahte hain sath sath mere
ye jaante hain main ek roz raushni karunga
- Add to favorites
-
Share this
log jaise bhī hoñ pairoñ ke tale rakhte haiñ
itnā āsāñ nahīñ hotā hai zamīn honā dost
log jaise bhi hon pairon ke tale rakhte hain
itna aasan nahin hota hai zamin hona dost
- Add to favorites
-
Share this
ab us se kahnā ki agle hisse meñ aane vaalā hai moḌ aisā
jahāñ kisī kā maiñ hal banūñgā koī mirā mas.ala banegā
ab us se kahna ki agle hisse mein aane wala hai moD aisa
jahan kisi ka main hal banunga koi mera masala banega
- Add to favorites
-
Share this
Image Shayari 1
jaisaa socho vaisaa matlab hotaa hai halkii baat kaa gahraa matlab hotaa hai chehra pa.Dh kar dekhoge to jaanoge KHaamoshii kaa kyaa kyaa matlab hotaa hai hijrat ko tum naql-e-makaanii kahte ho hijrat kaa mar jaanaa matlab hotaa hai apnii baat mukammal kar ke jaa.o tum aadhii baat kaa ulTaa matlab hotaa hai shahzaadii hai duniyaa matlab vaalii ye sab kaa apnaa apnaa matlab hotaa hai