aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Iqbal Kaifi

Iqbal Kaifi

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 11

guhar samjhā thā lekin sañg niklā

kisī zarf kitnā tañg niklā

guhar samjha tha lekin sang nikla

kisi ka zarf kitna tang nikla

amn 'kaifī' ho nahīñ saktā kabhī

jab talak zulm-o-sitam maujūd hai

amn 'kaifi' ho nahin sakta kabhi

jab talak zulm-o-sitam maujud hai

dekhā hai mohabbat ko ibādat nazar se

nafrat ke avāmil hameñ ma.ayūb rahe haiñ

dekha hai mohabbat ko ibaadat ki nazar se

nafrat ke awamil hamein mayub rahe hain

ḳhizāñ daur bhī aatā hai ek din 'kaifī'

sadā-bahār kahāñ tak daraḳht rahte haiñ

KHizan ka daur bhi aata hai ek din 'kaifi'

sada-bahaar kahan tak daraKHt rahte hain

mohabbatoñ ko bhī us ne ḳhatā qarār diyā

magar ye jurm hameñ baar baar karnā hai

mohabbaton ko bhi us ne KHata qarar diya

magar ye jurm hamein bar bar karna hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now