Sher of Irfan Abid
hālāt kah rahe haiñ ki ab vo na ā.eñge
ummīd kah rahī hai zarā intizār kar
haalat kah rahe hain ki ab wo na aaenge
ummid kah rahi hai zara intizar kar
taḌpeñge tirī yaad meñ ghabrā.eñge tanhā
ai dost kisī taur na jī pā.eñge tanhā
taDpenge teri yaad mein ghabraenge tanha
ai dost kisi taur na ji paenge tanha
jiine kā akele to tasavvur bhī nahīñ hai
ham tujh se judā hoñge to mar jā.eñge tanhā
jine ka akele to tasawwur bhi nahin hai
hum tujh se juda honge to mar jaenge tanha