Sher of Ismail Raaz
dīvāngī kā sabab pūchhā jā rahā thā mirī
maiñ chup thā aur hujūm us kā naam le rahā thā
diwangi ka sabab puchha ja raha tha meri
main chup tha aur hujum us ka nam le raha tha
jo apnā hissa bhī auroñ meñ baañT detā hai
ik aise shaḳhs ke hisse meñ aa ga.e the ham
jo apna hissa bhi auron mein banT deta hai
ek aise shaKHs ke hisse mein aa gae the hum
hijr kī raat hai aur aañkh meñ aañsū bhī nahīñ
aise mausam meñ to barsāt huā kartī thī
hijr ki raat hai aur aankh mein aansu bhi nahin
aise mausam mein to barsat hua karti thi
dar-asl maiñ ne mashaqqat nahīñ mohabbat kī
hatheliyoñ pe nahīñ mere dil pe chhāle haiñ
dar-asl main ne mashaqqat nahin mohabbat ki
hatheliyon pe nahin mere dil pe chhaale hain
us vaqt ke sadmoñ ne mujhe chaaT liyā hai
jo vaqt abhī maiñ ne guzārā bhī nahīñ thā
us waqt ke sadmon ne mujhe chaT liya hai
jo waqt abhi main ne guzara bhi nahin tha