Sher of Izhaar Malihabadi
subū-e-falsafa-e-ishq-o-kahkashān-e-hayāt
shuā-e-qahr-e-tabassum charāġh-e-dīda-e-nam
subu-e-falsafa-e-ishq-o-kahkashan-e-hayat
shua-e-qahr-e-tabassum charagh-e-dida-e-nam
sharāb-e-husn-o-mohabbat fashurda-e-anjum
anīs-e-shām-o-sahar hamdam-e-vajūd-o-adam
sharab-e-husn-o-mohabbat fashurda-e-anjum
anis-e-sham-o-sahar hamdam-e-wajud-o-adam
zabāñ se sher kī tārīf ho nahīñ saktī
ki ek zarre se ab tak hai aql nā-mahram
zaban se sher ki tarif ho nahin sakti
ki ek zarre se ab tak hai aql na-mahram
na pūchh sher hai kyā chiiz mujh se ai hamdam
mizāj-e-ātish-e-sozāñ latāfat-e-shabnam
na puchh sher hai kya chiz mujh se ai hamdam
mizaj-e-atish-e-sozan latafat-e-shabnam
jilau meñ hazrat-e-jibrīl sar jhukā.e hue
buland arsh ke tāroñ se azmat-e-ādam
jilau mein hazrat-e-jibril sar jhukae hue
buland arsh ke taron se azmat-e-adam
ḳhumār-e-dīda-e-anjum sharāb-e-lail-o-nahār
hikāyat-e-na-shunīda nigār-e-nā-mahram
KHumar-e-dida-e-anjum sharab-e-lail-o-nahaar
hikayat-e-na-shunida nigar-e-na-mahram
harīm-e-dil meñ jab aatā hai naaz farmātā
tarab ke phuul khilātā hai ye musavvir-e-ġham
harim-e-dil mein jab aata hai naz farmata
tarab ke phul khilata hai ye musawwir-e-gham
nigār-ḳhāna-e-hikmat kalīd-e-bāb-e-junūñ
amīn-e-sub.h-e-masarrat ra.īs-e-shām-e-alam
nigar-KHana-e-hikmat kalid-e-bab-e-junun
amin-e-subh-e-masarrat rais-e-sham-e-alam
hazār jaam chhalakte hue nafas-ba-nafas
hazār baaġh mahakte hue qadam-ba-qadam
hazar jam chhalakte hue nafas-ba-nafas
hazar bagh mahakte hue qadam-ba-qadam
jahāñ hai sher charāġh-e-junūñ jalā.e hue
vahāñ khaḌī hai ḳhirad apnā sar jhukā.e hue
jahan hai sher charagh-e-junun jalae hue
wahan khaDi hai KHirad apna sar jhukae hue
zamīñ se ahl-e-falak ko payām-e-nazzāra
naqāb-e-āriz-e-fitrat kī jumbish-e-paiham
zamin se ahl-e-falak ko payam-e-nazzara
naqab-e-ariz-e-fitrat ki jumbish-e-paiham
ḳhurūsh-e-sarsar-o-tūfāñ jamūd-e-dasht-o-sarāb
surūd-e-fasl-e-bahārāñ ḳhirām-e-gardish-e-yam
KHurush-e-sarsar-o-tufan jamud-e-dasht-o-sarab
surud-e-fasl-e-bahaaran KHiram-e-gardish-e-yam