aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jafar Tahir's Photo'

Jafar Tahir

1917 - 1977 | Pakistan

Jafar Tahir

Ghazal 15

Sher-o-Shayari 9

ai vatan jab bhī sar-e-dasht koī phuul khilā

dekh kar tere shahīdoñ nishānī royā

ai watan jab bhi sar-e-dasht koi phul khila

dekh kar tere shahidon ki nishani roya

aapas guftugū meñ bhī kaTne lagī zabāñ

ab dostoñ se tark-e-mulāqāt chāhiye

aapas ki guftugu mein bhi kaTne lagi zaban

ab doston se tark-e-mulaqat chahiye

'tāhir' ḳhudā raah meñ dushvāriyāñ sahī

ishq-e-butāñ meñ kaun āsāniyāñ rahīñ

'tahir' KHuda ki rah mein dushwariyan sahi

ishq-e-butan mein kaun si aasaniyan rahin

  • Share this

uTThī thī pahlī baar jidhar chashm-e-ārzū

vo log phir mile na vo bastī nazar paḌī

uTThi thi pahli bar jidhar chashm-e-arzu

wo log phir mile na wo basti nazar paDi

jab bhī dekhī hai kisī chehre pe ik taaza bahār

dekh kar maiñ tirī tasvīr purānī royā

jab bhi dekhi hai kisi chehre pe ek taza bahaar

dekh kar main teri taswir purani roya

BOOKS 1

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now