Sher of Jageshwar Dayal Nashtar Kanpuri
tumhīñ batāo ki ab aur tum se kyā māñgūñ
ye dard-e-dil jo diyā hai mujhe vo kyā kam hai
tumhin batao ki ab aur tum se kya mangun
ye dard-e-dil jo diya hai mujhe wo kya kam hai
ye fart-e-shauq ki sūrat tirī nahīñ dekhī
magar jabīñ tirī ta.azīm ke liye ḳham hai
ye fart-e-shauq ki surat teri nahin dekhi
magar jabin teri tazim ke liye KHam hai
chhupā.e huuñ maiñ ġham-e-ishq apnī rag rag meñ
na chaak hai mirā dāman na āstīñ nam hai
chhupae hun main gham-e-ishq apni rag rag mein
na chaak hai mera daman na aastin nam hai