aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1904 | Jabalpur, India
Known for his role in Independence struggle, Urdu academics and literature
pā ke ik terā tabassum muskurā.ī kā.enāt
jhuum uTThā vo bhī dil jiine se jo bezār thā
pa ke ek tera tabassum muskurai kaenat
jhum uTTha wo bhi dil jine se jo bezar tha
nik.hat vahī surūr vahī dil-kashī vahī
aamad ye aap kī hai ki jhoñkā bahār kā
nikhat wahi surur wahi dil-kashi wahi
aamad ye aap ki hai ki jhonka bahaar ka
yā guftugū ho un lab-o-ruḳhsār-o-zulf kī
yā un ḳhamosh nazroñ ke lutf-e-suḳhan kī baat
ya guftugu ho un lab-o-ruKHsar-o-zulf ki
ya un KHamosh nazron ke lutf-e-suKHan ki baat
is sīna-e-vīrāñ meñ khilā.e na kabhī phuul
kyoñ baaġh pe itrātī rahī bād-e-sabā hai
is sina-e-viran mein khilae na kabhi phul
kyon bagh pe itraati rahi baad-e-saba hai
insāñ ke dil kī ḳhair zamīñ āsmāñ kī ḳhair
har roz gul khilāte haiñ insāñ na.e na.e
insan ke dil ki KHair zamin aasman ki KHair
har roz gul khilate hain insan nae nae
Naghma-e-Zindagi
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books