Jalaluddin Akbar
Ghazal 6
Sher-o-Shayari 5
tirā vasl hai mujhe be-ḳhudī tirā hijr hai mujhe āgahī
tirā vasl mujh ko firāq hai tirā hijr mujh ko visāl hai
tera wasl hai mujhe be-KHudi tera hijr hai mujhe aagahi
tera wasl mujh ko firaq hai tera hijr mujh ko visal hai
-
Share this
- See Ghazal
ye bhuul bhī kyā bhuul hai ye yaad bhī kyā yaad
tū yaad hai aur koī nahīñ tere sivā yaad
ye bhul bhi kya bhul hai ye yaad bhi kya yaad
tu yaad hai aur koi nahin tere siwa yaad
-
Share this
- See Ghazal
dil ko is tarh dekhne vaale
dil agar be-qarār ho jaa.e
dil ko is tarh dekhne wale
dil agar be-qarar ho jae
-
Share this
- See Ghazal
ishq se hai faroġh-e-rañg-e-jahāñ
ibtidā ham haiñ intihā haiñ ham
ishq se hai farogh-e-rang-e-jahan
ibtida hum hain intiha hain hum
-
Share this
- See Ghazal
ye kā.enāt ye bazm-e-zuhūr kuchh bhī nahīñ
tirī nazar meñ nahīñ hai jo nuur kuchh bhī nahīñ
ye kaenat ye bazm-e-zuhur kuchh bhi nahin
teri nazar mein nahin hai jo nur kuchh bhi nahin
-
Share this
- See Ghazal