aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1962 | Amroha, India
tujh se milne kā bahāna to koī chāhiye thā
ham ne vo ek bahāna kabhī DhūñDā hī nahīñ
tujh se milne ka bahana to koi chahiye tha
hum ne wo ek bahana kabhi DhunDa hi nahin
dostī ik din dushman se ho saktī hai
soch ke ye laḌne kā irāda chhoḌ diyā
dosti ek din dushman se ho sakti hai
soch ke ye laDne ka irada chhoD diya
Thukrā ke chale aa.e ḳhud.dār tabī.at hai
ham un kī ināyat ko ḳhairāt samajhte haiñ
Thukra ke chale aae KHuddar tabiat hai
hum un ki inayat ko KHairaat samajhte hain
koī to aisā ho jis se maiñ dil kī baat karūñ
so apne aap se hī baat kartā rahtā huuñ
koi to aisa ho jis se main dil ki baat karun
so apne aap se hi baat karta rahta hun
nahīñ ye mehñdī nahīñ hai tumhāre hāthoñ par
kisī kā ḳhūn-e-tamannā lagā.e baiThe ho
nahin ye mehndi nahin hai tumhaare hathon par
kisi ka KHun-e-tamanna lagae baiThe ho
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books