1930 - 1978 | Aligarh, India
phir ka.ī zaḳhm-e-dil mahak uTThe
phir kisī bevafā kī yaad aa.ī
phir kai zaKHm-e-dil mahak uTThe
phir kisi bewafa ki yaad aai
ab to aa jaao rasm-e-duniyā kī
maiñ ne dīvār bhī girā dī hai
ab to aa jao rasm-e-duniya ki
main ne diwar bhi gira di hai
haath phir baḌh rahā hai sū-e-jām
zindagī kī udāsiyoñ ko salām
hath phir baDh raha hai su-e-jam
zindagi ki udasiyon ko salam
agar sukūn se umr-e-azīz khonā ho
kisī kī chaah meñ ḳhud ko tabāh kar liije
agar sukun se umr-e-aziz khona ho
kisi ki chah mein KHud ko tabah kar lije
haa.e vo log ham se ruuTh ga.e
jin ko chāhā thā zindagī kī tarah
hae wo log hum se ruTh gae
jin ko chaha tha zindagi ki tarah
Awaz Na Do
1993
Sign up and enjoy FREE unlimited access to a whole Universe of Urdu Poetry, Language Learning, Sufi Mysticism, Rare Texts
Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online