Sher of Jawaz Jafri
phir huā aise ki mujh ko dar-ba-dar karne ke ba.ad
naam us bastī kā mere naam par rakkhā gayā
phir hua aise ki mujh ko dar-ba-dar karne ke baad
nam us basti ka mere nam par rakkha gaya
kabhī dīvār ko tarse kabhī dar ko tarse
ham hue ḳhāna-ba-dosh aise ki ghar ko tarse
kabhi diwar ko tarse kabhi dar ko tarse
hum hue KHana-ba-dosh aise ki ghar ko tarse
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zehn is ḳhauf se hone lage banjar ki yahāñ
achchhī taḳhlīq par kaT jaate haiñ me.amār ke haath
zehn is KHauf se hone lage banjar ki yahan
achchhi taKHliq par kaT jate hain meamar ke hath
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
adab kā ziina milā ziist kā qarīna milā
kahāñ kahāñ na tire ġham se istifāda huā
adab ka zina mila zist ka qarina mila
kahan kahan na tere gham se istifada hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download