Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jazib Quraishi's Photo'

Jazib Quraishi

1940 - 2021 | Karachi, Pakistan

Jazib Quraishi

Ghazal 21

Sher-o-Shayari 14

kyuuñ maañg rahe ho kisī bārish duā.eñ

tum apne shikasta dar-o-dīvār to dekho

kyun mang rahe ho kisi barish ki duaen

tum apne shikasta dar-o-diwar to dekho

terī yādoñ chamaktī huī mash.al ke sivā

merī āñkhoñ meñ koī aur ujālā nahīñ

teri yaadon ki chamakti hui mashal ke siwa

meri aankhon mein koi aur ujala hi nahin

  • Share this

mire vajūd ke ḳhushbū-nigār sahrā meñ

vo mil ga.e haiñ to mil kar bichhaḌ bhī sakte haiñ

mere wajud ke KHushbu-nigar sahra mein

wo mil gae hain to mil kar bichhaD bhi sakte hain

  • Share this

daftar thakan oḌh ke tum jis se mile ho

us shaḳhs ke taaza lab-o-ruḳhsār to dekho

daftar ki thakan oDh ke tum jis se mile ho

us shaKHs ke taza lab-o-ruKHsar to dekho

terī ḳhushbū pyaar ke lahje meñ bole to sahī

dil har dhaḌkan ko ik chehra nayā mil jā.egā

teri KHushbu pyar ke lahje mein bole to sahi

dil ki har dhaDkan ko ek chehra naya mil jaega

  • Share this

BOOKS 7

 

More Poets From "Karachi"

Recitation

Speak Now