Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jitendra Mohan Sinha Rahbar's Photo'

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

1911 - 1993 | Lucknow, India

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

Ghazal 20

Sher-o-Shayari 27

har shai meñ har bashar meñ nazar aa rahā hai

sajde meñ apne sar ko jhukā.ūñ kahāñ kahāñ

har shai mein har bashar mein nazar aa raha hai tu

sajde mein apne sar ko jhukaun kahan kahan

ham rū-ba-rū-e-sham.a haiñ is intizār meñ

kuchh jaañ paroñ meñ aa.e to uḌ kar nisār hoñ

hum ru-ba-ru-e-shama hain is intizar mein

kuchh jaan paron mein aae to uD kar nisar hon

  • Share this

khiñchte jaate haiñ ḳhud mirī jānib

mujh ko jyuuñ jyuuñ vo āzmāte haiñ

khinchte jate hain KHud meri jaanib

mujh ko jyun jyun wo aazmate hain

  • Share this

tañg paimā.ī shikva sāqī-e-azalī se kiyā

ham ne samjhā nahīñ dastūr-e-mai-ḳhāna abhī

tang paimai ka shikwa saqi-e-azali se kiya

hum ne samjha hi nahin dastur-e-mai-KHana abhi

  • Share this

vahī sifteñ jo batlātā hai vaa.iz sab us meñ haiñ

diyā hai jis ko dil ham ne vahī terā ḳhudā hogā

wahi siften jo batlata hai tu waiz sab us mein hain

diya hai jis ko dil hum ne wahi tera KHuda hoga

  • Share this

BOOKS 1

 

More Poets From "Lucknow"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now