Sher of Kaif Azimabadi
dīvār-o-dar pe ḳhuun ke chhīñTe haiñ jā-ba-jā
bikhrā huā hai rañg-e-hinā tere shahar meñ
diwar-o-dar pe KHun ke chhinTe hain ja-ba-ja
bikhra hua hai rang-e-hina tere shahar mein
ḳhushbū-e-hinā kahnā narmī-e-sabā kahnā
jo zaḳhm mile tum ko phūloñ kī qabā kahnā
KHushbu-e-hina kahna narmi-e-saba kahna
jo zaKHm mile tum ko phulon ki qaba kahna
tum samundar kī rifāqat pe bharosa na karo
tishnagī lab pe sajā.e hue mar jāoge
tum samundar ki rifaqat pe bharosa na karo
tishnagi lab pe sajae hue mar jaoge
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nikal aa.e tanhā tirī rah-guzar par
bhaTakne ko ham kārvāñ chhoḌ aa.e
nikal aae tanha teri rah-guzar par
bhaTakne ko hum karwan chhoD aae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download