Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
kanval Dibaivi's Photo'

kanval Dibaivi

1919 - 1994 | Bulandshahar, India

Sher of kanval Dibaivi

kuchh bujhī bujhī hai anjuman na jaane kyuuñ

zindagī meñ pinhāñ hai ik chubhan na jaane kyuuñ

kuchh bujhi bujhi si hai anjuman na jaane kyun

zindagi mein pinhan hai ek chubhan na jaane kyun

zindagī gum na dostī gum hai

ye haqīqat hai aadmī gum hai

zindagi gum na dosti gum hai

ye haqiqat hai aadmi gum hai

hañsī meñ kaTtī thiiñ rāteñ ḳhushī meñ din guzartā thā

'kañval' maazī afsāna na tum bhūle na ham bhūle

hansi mein kaTti thin raaten KHushi mein din guzarta tha

'kanwal' mazi ka afsana na tum bhule na hum bhule

'kañval' ḳhushī huā kartī hai yūñhī takmīl

ġham-e-hayāt ke har bahr-e-be-karāñ se guzar

'kanwal' KHushi ki hua karti hai yunhi takmil

gham-e-hayat ke har bahr-e-be-karan se guzar

ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ ġham-e-uqbā ġham-e-duniyā

'kañval' is zindagī meñ ġham ke māroñ ko na chain aayā

gham-e-dauran gham-e-jaanan gham-e-uqba gham-e-duniya

'kanwal' is zindagi mein gham ke maron ko na chain aaya

jis ne buniyād gulistāñ kabhī Daalī thī

us ko gulshan se guzarne nahīñ detī duniyā

jis ne buniyaad gulistan ki kabhi Dali thi

us ko gulshan se guzarne nahin deti duniya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now