Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kashfi Multani's Photo'

Kashfi Multani

1900 - 1976 | Muzaffargarh, Pakistan

Kashfi Multani

Ghazal 2

 

Sher-o-Shayari 7

thak thak ke tirī raah meñ yuuñ baiTh gayā huuñ

goyā ki bas ab mujh se safar ho nahīñ saktā

thak thak ke teri rah mein yun baiTh gaya hun

goya ki bas ab mujh se safar ho nahin sakta

terī āñkheñ haiñ ki āhū-e-ḳhutan āñkheñ

mahv-e-hairat thiiñ javānān-e-chaman āñkheñ

teri aankhen hain ki aahu-e-KHutan ki aankhen

mahw-e-hairat thin jawanan-e-chaman ki aankhen

  • Share this

āb-e-haivāñ ko mai se kyā nisbat

paanī paanī hai aur sharāb sharāb

aab-e-haiwan ko mai se kya nisbat

pani pani hai aur sharab sharab

'kashfī' ko koī pūchhne aa.e to dosto

kahnā ki chand sher sunā kar chale ga.e

'kashfi' ko koi puchhne aae to dosto

kahna ki chand sher suna kar chale gae

  • Share this

nāchtī hai jab apne dilrubā andāz se

āfrīñ ke naġhme uThte haiñ diloñ ke saaz se

nachti hai jab tu apne dilruba andaz se

aafrin ke naghme uThte hain dilon ke saz se

  • Share this

More Poets From "Muzaffargarh"

 

Recitation

Speak Now