Sher of Kashfi Multani
thak thak ke tirī raah meñ yuuñ baiTh gayā huuñ
goyā ki bas ab mujh se safar ho nahīñ saktā
thak thak ke teri rah mein yun baiTh gaya hun
goya ki bas ab mujh se safar ho nahin sakta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
terī āñkheñ haiñ ki āhū-e-ḳhutan kī āñkheñ
mahv-e-hairat thiiñ javānān-e-chaman kī āñkheñ
teri aankhen hain ki aahu-e-KHutan ki aankhen
mahw-e-hairat thin jawanan-e-chaman ki aankhen
āb-e-haivāñ ko mai se kyā nisbat
paanī paanī hai aur sharāb sharāb
aab-e-haiwan ko mai se kya nisbat
pani pani hai aur sharab sharab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
'kashfī' ko koī pūchhne aa.e to dosto
kahnā ki chand sher sunā kar chale ga.e
'kashfi' ko koi puchhne aae to dosto
kahna ki chand sher suna kar chale gae
nāchtī hai jab tū apne dilrubā andāz se
āfrīñ ke naġhme uThte haiñ diloñ ke saaz se
nachti hai jab tu apne dilruba andaz se
aafrin ke naghme uThte hain dilon ke saz se
zamāna aayā kuchh aisā ki ab to har ghar meñ
laTak rahī hai masarrat nazīr kī tasvīr
zamana aaya kuchh aisa ki ab to har ghar mein
laTak rahi hai masarrat nazir ki taswir
ik 'muzaffar'-gaḌhī ke hāthoñ se kār-nāma huā hai lā-sānī
jis kī taḳhlīq naġhma-e-sahrā naam 'kashfī' ba-urf 'multānī'
ek 'muzaffar'-gaDhi ke hathon se kar-nama hua hai la-sani
jis ki taKHliq naghma-e-sahra nam 'kashfi' ba-urf 'multani'