Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kashif Syed's Photo'

Kashif Syed

1987 | Bhiwandi, India

One of the famous young poets; simplicity is found in his couplets

One of the famous young poets; simplicity is found in his couplets

Sher of Kashif Syed

āñkhoñ meñ apnī ḳhvāb liye sochte rahe

jaise koī kitāb liye sochte rahe

aankhon mein apni KHwab liye sochte rahe

jaise koi kitab liye sochte rahe

aisā na ho ki dostī bhī jaa.e haath se

ham haath meñ gulāb liye sochte rahe

aisa na ho ki dosti bhi jae hath se

hum hath mein gulab liye sochte rahe

is parā.e shahr meñ ai kaash koī ye kahe

raat khānā hamāre saath khānā hai tumheñ

is parae shahr mein ai kash koi ye kahe

raat ka khana hamare sath khana hai tumhein

ham 'jaun-eliyā' ke zamāne meñ dosto

'ġhālib' intiḳhāb liye sochte rahe

hum 'jaun-eliya' ke zamane mein dosto

'ghaalib' ka intiKHab liye sochte rahe

kyā ġhazab hai tajrabe bheñT tum chaḌh ga.e

tum se sīkhā thā ham ne dil dukhāne hunar

kya ghazab hai tajrabe ki bhenT tum hi chaDh gae

tum se hi sikha tha hum ne dil dukhane ka hunar

hijratoñ ke karb ko aise chhupānā hai tumheñ

koī jab bhī haal pūchhe muskurānā hai tumheñ

hijraton ke karb ko aise chhupana hai tumhein

koi jab bhi haal puchhe muskurana hai tumhein

log ham se sīkhte haiñ ġham chhupāne hunar

aao tum ko bhī sikhā deñ muskurāne hunar

log hum se sikhte hain gham chhupane ka hunar

aao tum ko bhi sikha den muskurane ka hunar

zarā vaqt jo badlā to ham pe hañsne lage

hamāre kāñdhe pe sar rakh ke rone vaale log

zara sa waqt jo badla to hum pe hansne lage

hamare kandhe pe sar rakh ke rone wale log

Recitation

Speak Now