Khalid Karrar
Ghazal 16
Nazm 13
Sher-o-Shayari 6
baat ye hai ki sabhī bhaa.ī mire dushman haiñ
mas.ala ye hai ki maiñ yūsuf-e-sānī bhī nahīñ
baat ye hai ki sabhi bhai mere dushman hain
masala ye hai ki main yusuf-e-sani bhi nahin
-
Share this
- See Ghazal
phir is ke baad mirī raat be-misāl huī
udhar vo shola-badan thā idhar maiñ paanī thā
phir is ke baad meri raat be-misal hui
udhar wo shola-badan tha idhar main pani tha
-
Share this
- See Ghazal
sach to ye hai ki mire paas hī dirham kam haiñ
varna is shahr meñ is darja girānī bhī nahīñ
sach to ye hai ki mere pas hi dirham kam hain
warna is shahr mein is darja girani bhi nahin
-
Share this
- See Ghazal
kalīsā maulvī rāhib pujārī
kalas mīnār but mehrāb sahrā
kalisa maulwi rahib pujari
kalas minar but mehrab sahra
-
Share this
- See Ghazal
koī to aa.e sunā.e naved-e-tāza mujhe
uTho ki hashr se pahle hisāb hone lagā
koi to aae sunae nawed-e-taza mujhe
uTho ki hashr se pahle hisab hone laga
-
Share this
- See Ghazal