Sher of Khalid Nadeem Budauni
titlī bhauñre kaliyāñ phuul
is ke sab dīvāne the
titli bhaunre kaliyan phul
is ke sab diwane the
ḳhud apnī shai pe adhūrā hai iḳhtiyār mujhe
girā to saktā huuñ aañsū uThā nahīñ saktā
KHud apni shai pe adhura hai iKHtiyar mujhe
gira to sakta hun aansu uTha nahin sakta
yuuñ bhī āñkhoñ se nikalne nahīñ detā aañsū
ashk-e-ġham terā tasavvur na bahā le jaa.e
yun bhi aankhon se nikalne nahin deta aansu
ashk-e-gham tera tasawwur na baha le jae
kaise hastī ke samundar kā talātum Thahre
zindagī bhar yahī tadbīr-e-bashar hotī hai
kaise hasti ke samundar ka talatum Thahre
zindagi bhar yahi tadbir-e-bashar hoti hai
vo ek shaḳhs to patthar uchhāl kar chup hai
samundaroñ se abhī tak sadā.eñ aatī haiñ
wo ek shaKHs to patthar uchhaal kar chup hai
samundaron se abhi tak sadaen aati hain
ab jo chāho vo faisla kar lo
muflisī apne hoñT sī aa.ī
ab jo chaho wo faisla kar lo
muflisi apne honT si aai