Khalid Nadeem Shaani
Ghazal 12
Sher-o-Shayari 8
kahāñ se aa.ī thī āḳhir tirī talab mujh meñ
ḳhudā ne mujh ko banāyā to maiñ akelā thā
kahan se aai thi aaKHir teri talab mujh mein
KHuda ne mujh ko banaya to main akela tha
-
Share this
- See Ghazal
maiñ agar ḳhud ko maar Dālūñ to
kyā bachegā tirī kahānī meñ
main agar KHud ko mar Dalun to
kya bachega teri kahani mein
-
Share this
- See Ghazal
hamī vo ilm ke raushan charāġh haiñ jin ko
havā bujhātī nahīñ hai salām kartī hai
hami wo ilm ke raushan charagh hain jin ko
hawa bujhati nahin hai salam karti hai
-
Share this
- See Ghazal
jis tarah aap ne bīmār se ruḳhsat lī hai
saaf lagtā hai janāze meñ nahīñ ā.eñge
jis tarah aap ne bimar se ruKHsat li hai
saf lagta hai janaze mein nahin aaenge
-
Share this
- See Ghazal
hazrat-e-josh ke dīvān kā jab zikr chale
kitnī hasrat se hameñ urdu zabāñ dekhtī hai
hazrat-e-josh ke diwan ka jab zikr chale
kitni hasrat se hamein urdu zaban dekhti hai
-
Share this
- See Ghazal