Sher of Khwaja Hasan 'Hasan'
vaqt-e-nazzāra na ro kahte the ai chashm tujhe
shiddat-e-girya se le ḳhaak na sūjhā, dekhā
waqt-e-nazzara na ro kahte the ai chashm tujhe
shiddat-e-girya se le KHak na sujha, dekha
vo jab tak ki zulfeñ sañvārā kiyā
khaḌā us pe maiñ jaan vaarā kiyā
wo jab tak ki zulfen sanwara kiya
khaDa us pe main jaan wara kiya
umañD ke aañkh se ik baar bah chale aañsū
hañsī hañsī meñ jo zikr-e-vidā-e-yār aayā
umanD ke aankh se ek bar bah chale aansu
hansi hansi mein jo zikr-e-wida-e-yar aaya
rahī be-qarārī asīrī kī yuuñ hī
to sayyād TukḌe tirā daam hogā
rahi be-qarari asiri ki yun hi
to sayyaad TukDe tera dam hoga