Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Laiq Aajiz's Photo'

Laiq Aajiz

Laiq Aajiz

Ghazal 12

Sher-o-Shayari 11

dushmanoñ ko dost bhaa.ī ko sitamgar kah diyā

log kyuuñ barham haiñ kyā shīshe ko patthar kah diyā

dushmanon ko dost bhai ko sitamgar kah diya

log kyun barham hain kya shishe ko patthar kah diya

khetiyāñ chhāloñ hotī thiiñ lahū ugte the

kitnā zarḳhez thā vo dar-badarī mausam

khetiyan chhaalon ki hoti thin lahu ugte the

kitna zarKHez tha wo dar-badari ka mausam

merī tārīk shaboñ meñ hai ujālā in se

chāñd se zaḳhmoñ pe marham ye lagāte kyuuñ ho

meri tarik shabon mein hai ujala in se

chand se zaKHmon pe marham ye lagate kyun ho

qalam uThā.ūñ ki bachchoñ zindagī dekhūñ

paḌā huā hai dorāhe pe ab hunar merā

qalam uThaun ki bachchon ki zindagi dekhun

paDa hua hai dorahe pe ab hunar mera

shaam hote bujh gayā 'ājiz'

ek muflis ḳhvāb thā na rahā

sham hote hi bujh gaya 'ajiz'

ek muflis ka KHwab tha na raha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now