Lala Madhav Ram Jauhar
Ghazal 39
Sher-o-Shayari 174
barsāt kā mazā tire gesū dikhā ga.e
aks āsmān par jo paḌā abr chhā ga.e
barsat ka maza tere gesu dikha gae
aks aasman par jo paDa abr chha gae
-
Share this
- See Ghazal
Thahrī jo vasl kī to huī sub.h shaam se
but mehrbāñ hue to ḳhudā mehrbāñ na thā
Thahri jo wasl ki to hui subh sham se
but mehrban hue to KHuda mehrban na tha
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 5
thame aa.nsuu to phir tum shauq se ghar ko chale jaanaa kahaa.n jaate ho is tuufaan me.n paanii zaraa Thahre
dil ko samjhaa.o zaraa ishq me.n kyaa rakkhaa hai kis liye aap ko diivaana banaa rakkhaa hai ye to ma.aluum hai biimaar me.n kyaa rakkhaa hai tere milne kii tamannaa ne jilaa rakkhaa hai kaun saa baada-kash aisaa hai ki jis kii KHaatir jaam pahle hii se saaqii ne uThaa rakkhaa hai apne hii haal me.n rahne de mujhe ai hamdam terii baato.n ne miraa dhyaan baTaa rakkhaa hai aatish-e-ishq se allaah bachaa.e sab ko isii sho.ale ne zamaane ko jalaa rakkhaa hai mai.n ne zulfo.n ko chhu.aa ho to Dase.n naag mujhe be-KHataa aap ne ilzaam lagaa rakkhaa hai kaise bhuule hu.e hai.n gabr o musalmaa.n dono.n dair me.n but hai na ka.abe me.n KHudaa rakkhaa hai
vahii shaagird phir ho jaate hai.n ustaad ai 'jauhar' jo apne jaan-o-dil se KHidmat-e-ustaad karte hai.n