aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
- 1914 | Pakistan
mere sheroñ se mirī umr kā andāza kar
mujh se mat pūchh mirā yaum-e-vilādat kyā hai
mere sheron se meri umr ka andaza kar
mujh se mat puchh mera yaum-e-wiladat kya hai
bārah ghanToñ kī hai ik raat jo Taltī hī nahīñ
hijr bhī ain december meñ milā hai mujh ko
barah ghanTon ki hai ek raat jo Talti hi nahin
hijr bhi ain december mein mila hai mujh ko
beTe masrūf rahe maal ke baTvāre meñ
beTiyāñ baap kī mayyat se lipaT kar roiiñ
beTe masruf rahe mal ke baTware mein
beTiyan bap ki mayyat se lipaT kar roin
maiñ nahīñ māntā kāġhaz pe likhā shajra-e-nasab
baat karne se qabīle kā pata chaltā hai
main nahin manta kaghaz pe likha shajra-e-nasab
baat karne se qabile ka pata chalta hai
zulm bhī sharmā rahā hai adl kī mīzān se
kuud jaanā chāhiye mīnār-e-pākistān se
zulm bhi sharma raha hai adl ki mizan se
kud jaana chahiye minar-e-pakistan se
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books