Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Mahmood Ishqi

Sher of Mahmood Ishqi

ḳhushbū tarah shab ko machaltā thā gul-badan

bistar se chun rahā huuñ maiñ TuuTe hue baTan

KHushbu ki tarah shab ko machalta tha gul-badan

bistar se chun raha hun main TuTe hue baTan

muñh chhupā.e javāb phirte haiñ

sar uThā kar khaḌe hue haiñ savāl

munh chhupae jawab phirte hain

sar uTha kar khaDe hue hain sawal

fikroñ ko chīrte hue tere ḳhayāl ne

TuuTe hue badan meñ nayā dil lagā diyā

fikron ko chirte hue tere KHayal ne

TuTe hue badan mein naya dil laga diya

duur se takte rahe nañge badan

ho ga.e show-case meñ maile libās

dur se takte rahe nange badan

ho gae show-case mein maile libas

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now