Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mahmood Shaam's Photo'

Mahmood Shaam

1940 | Karachi, Pakistan

FormeOne of the most prominent journalists in Pakistan

FormeOne of the most prominent journalists in Pakistan

Mahmood Shaam

Ghazal 36

Nazm 2

 

Sher-o-Shayari 7

ye aur baat ki chāhat ke zaḳhm gahre haiñ

tujhe bhulāne koshish to varna hai bahut

ye aur baat ki chahat ke zaKHm gahre hain

tujhe bhulane ki koshish to warna ki hai bahut

  • Share this

bas ek apne qadmoñ chaap suntā huuñ

maiñ kaun huuñ ki bhare shahr meñ bhī tanhā huuñ

bas ek apne hi qadmon ki chap sunta hun

main kaun hun ki bhare shahr mein bhi tanha hun

us ko dekhā to ye mahsūs huā

ham bahut duur the ḳhud se pahle

us ko dekha to ye mahsus hua

hum bahut dur the KHud se pahle

kitne chehre kitnī shakleñ phir bhī tanhā.ī vahī

kaun le aayā mujhe in ā.īnoñ ke darmiyāñ

kitne chehre kitni shaklen phir bhi tanhai wahi

kaun le aaya mujhe in aainon ke darmiyan

aune-paune ġhazleñ bechīñ nazmoñ bevpār kiyā

dekho ham ne peT ḳhātir kyā kyā kārobār kiyā

aune-paune ghazlen bechin nazmon ka bewpar kiya

dekho hum ne peT ki KHatir kya kya karobar kiya

BOOKS 8

 

Videos 4

This video is playing from YouTube

Playing videos from section
Poet reciting own poetry
Ab to diwar na diwan pe likha baqi

Mahmood Shaam

Ek Shaam Mahmood Shaam Kay Sath in Chicago

Mahmood Shaam

Har nazar pyaar har lab pe hansi mangte hain (Ghazal)

Mahmood Shaam

Nazm on daughters ( Betiyo par Nazm)

Mahmood Shaam

More Poets From "Karachi"

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now