Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Majid Deobandi's Photo'

Majid Deobandi

1964 | Delhi, India

Majid Deobandi

Ghazal 5

 

Sher-o-Shayari 8

afsos jin ke dam se har ik haiñ nafrateñ

ham ne ta.alluqāt unhīñ se baḌhā liye

afsos jin ke dam se har ek su hain nafraten

hum ne talluqat unhin se baDha liye

  • Share this

yaad rakkho ik na ik din saañp bāhar ā.eñge

āstīnoñ meñ unheñ kab tak chhupāyā jā.egā

yaad rakkho ek na ek din sanp bahar aaenge

aastinon mein unhen kab tak chhupaya jaega

  • Share this

jis ko chāheñ be-izzat kar sakte haiñ

aap baḌe haiñ aap ko ye āsānī hai

jis ko chahen be-izzat kar sakte hain

aap baDe hain aap ko ye aasani hai

phir tumhāre paañv chhūne ḳhud bulandī aa.egī

sab diloñ par raaj kar ke tāj-dārī siikh lo

phir tumhaare panw chhune KHud bulandi aaegi

sab dilon par raj kar ke taj-dari sikh lo

in āñsuoñ hifāzat bahut zarūrī hai

añdherī raat meñ jugnū bhī kaam aate haiñ

in aansuon ki hifazat bahut zaruri hai

andheri raat mein jugnu bhi kaam aate hain

  • Share this

BOOKS 4

 

More Poets From "Delhi"

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now