Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Maroof Dehlvi

1748 - 1826 | Delhi, India

Maroof Dehlvi

Sher-o-Shayari 17

dard-e-sar meñ hai kise sandal lagāne dimāġh

us ghisnā aur lagānā dard-e-sar ye bhī to hai

dard-e-sar mein hai kise sandal lagane ka dimagh

us ka ghisna aur lagana dard-e-sar ye bhi to hai

  • Share this

ka.aba-o-dair ko apnā to yahīñ se hai salām

dar-ba-dar kaun phire yaar ke dar ke hote

kaba-o-dair ko apna to yahin se hai salam

dar-ba-dar kaun phire yar ke dar ke hote

terī āñkhoñ ke tasavvur meñ hai sair-e-kaunain

varna ham log idhar ke idhar ho ke rahte

teri aankhon ke tasawwur mein hai sair-e-kaunain

warna hum log idhar ke idhar ho ke rahte

  • Share this

hai dil meñ zulf-e-yār ke aalam ko dekhiye

phañste haiñ aap daam meñ ham ham ko dekhiye

hai dil mein zulf-e-yar ke aalam ko dekhiye

phanste hain aap dam mein hum hum ko dekhiye

  • Share this

kyuuñ na miTTī ḳharāb ho apnī

is ḳharābāt binā haiñ ham

kyun na miTTi KHarab ho apni

is KHarabaat ki bina hain hum

Ghazal 21

BOOKS 3

 

More Poets From "Delhi"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now