Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Maryam Gazala's Photo'

Maryam Gazala

1939 | Gujrat, India

Maryam Gazala

Ghazal 4

 

Nazm 2

 

Sher-o-Shayari 6

jab bhī maiñ ne khol kar dekhī hai yādoñ kitāb

yūñhī safhoñ par taḌapte mil ga.e kuchh vāqi.āt

jab bhi main ne khol kar dekhi hai yaadon ki kitab

yunhi safhon par taDapte mil gae kuchh waqiat

  • Share this

ham to samjhe the hameñ pahchāntā koī nahīñ

apnī barbādī to ghar ghar kahānī ho ga.ī

hum to samjhe the hamein pahchanta koi nahin

apni barbaadi to ghar ghar ki kahani ho gai

  • Share this

jhiil ke Thahre hue paanī meñ patthar pheñk kar

dā.era uThtī huī lahroñ ham dekhā kiye

jhil ke Thahre hue pani mein patthar phenk kar

daera uThti hui lahron ka hum dekha kiye

dar-o-dīvār pe parchhā.iyāñ aatī thiiñ nazar

baat karne ko bhī tarsī huuñ sahar hone tak

dar-o-diwar pe parchhaiyan aati thin nazar

baat karne ko bhi tarsi hun sahar hone tak

  • Share this

har qadam ko soch kar rakhiyegā ab

hādisa hai raah meñ chaltā huā

har qadam ko soch kar rakhiyega ab

hadisa hai rah mein chalta hua

  • Share this

BOOKS 1

 

More Poets From "Gujrat"

Recitation

Speak Now