Sher of Maslihuddin Ahmad Aseer Kakorvi
ruuh kī gahrā.iyoñ meñ Duub kar dekhā karo
ek dhokā hai nazar kā ye sarāsar sāmne
ruh ki gahraiyon mein Dub kar dekha karo
ek dhoka hai nazar ka ye sarasar samne
film kī gardish se tasvīreñ badaltī hī rahīñ
umr-e-rafta kā na aayā phir vo manzar sāmne
film ki gardish se taswiren badalti hi rahin
umr-e-rafta ka na aaya phir wo manzar samne
ruuh hai mahv-e-tamannā husn hai mast-e-tarab
ik niyāz-o-nāz kā barpā hai mahshar sāmne
ruh hai mahw-e-tamanna husn hai mast-e-tarab
ek niyaz-o-naz ka barpa hai mahshar samne
adā-e-husn ne baḳhshī hai tāqat-e-parvāz
havā-e-shauq meñ uḌtā huuñ bāl-o-par na sahī
ada-e-husn ne baKHshi hai taqat-e-parwaz
hawa-e-shauq mein uDta hun baal-o-par na sahi
dil ki hai sarmāya-dār-e-izzat o nāmūs-e-husn
hai yahī markaz yahī hai dā.era mere liye
dil ki hai sarmaya-dar-e-izzat o namus-e-husn
hai yahi markaz yahi hai daera mere liye
DhūñDne vaalo zarā zauq-e-nazar bhī chāhiye
varna lākhoñ hī zamīn-o-āsmāñ dekhā kiye
DhunDne walo zara zauq-e-nazar bhi chahiye
warna lakhon hi zamin-o-asman dekha kiye
ishq ne paidā kiyā hai ek dil
husn vaalo ek jalvā chāhiye
ishq ne paida kiya hai ek dil
husn walo ek jalwa chahiye
tishnigān-e-zauq is sahrā-e-hastī se alag
paañv maaro to ubaltā hai samundar sāmne
tishnigan-e-zauq is sahra-e-hasti se alag
panw maro to ubalta hai samundar samne
hastī kā zarra zarra tārāj kar diyā hai
us bevafā kī ḳhātir us bevafā ke ġham meñ
hasti ka zarra zarra taraj kar diya hai
us bewafa ki KHatir us bewafa ke gham mein