Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Masroor Jalandhari

1929

Sher of Masroor Jalandhari

jo bhī chāho nikāl lo matlab

ḳhāmushī guftugū pe bhārī hai

jo bhi chaho nikal lo matlab

KHamushi guftugu pe bhaari hai

kyuuñ ham ko sunāte ho jahannam ke fasāne

is daur meñ jiine sazā kam to nahīñ hai

kyun hum ko sunate ho jahannam ke fasane

is daur mein jine ki saza kam to nahin hai

ik umr mehnat ye phal pā.eñge ham log

miTTī ridā oḌh ke so jā.eñge ham log

ek umr ki mehnat ka ye phal paenge hum log

miTTi ki rida oDh ke so jaenge hum log

hamārī āñkhoñ meñ be-vaj.h aa ga.e aañsū

yaqīn kiije kisī baat par nahīñ aa.e

hamari aankhon mein be-wajh aa gae aansu

yaqin kije kisi baat par nahin aae

shāyad aa jaa.e kisī vaqt lab-e-bām vo chāñd

shaam se subah talak band darīcha na kiyā

shayad aa jae kisi waqt lab-e-baam wo chand

sham se subah talak band daricha na kiya

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now