Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Meem Maroof Ashraf's Photo'

Meem Maroof Ashraf

1999 | Rampur, India

Meem Maroof Ashraf

Ghazal 6

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 39

abhī āġhāz-e-ulfat hai chalo ik kaam karte haiñ

bichhaḌ kar dekh lete haiñ bichhaḌ kar kaisā lagtā hai

abhi aaghaz-e-ulfat hai chalo ek kaam karte hain

bichhaD kar dekh lete hain bichhaD kar kaisa lagta hai

  • Share this

bint-e-havvā ko bhuul jaa.eñ ham

ye nahīñ aatā ibn-e-ādam ko

bint-e-hawwa ko bhul jaen hum

ye nahin aata ibn-e-adam ko

  • Share this

jab bhī chūmā hai tire hoñToñ ko

jism se un ko judā jaanā hai

jab bhi chuma hai tere honTon ko

jism se un ko juda jaana hai

  • Share this

tire hoñToñ surḳhī dekh kar to aisā lagtā hai

chabāyā hai kisī 'āshiq dil hinda-mizājī se

tere honTon ki surKHi dekh kar to aisa lagta hai

chabaya hai kisi 'ashiq ka dil hinda-mizaji se

  • Share this

kisī ke yaad karne agar hotī sabab hichkī

mirā mahbūb ho kar ke pareshāñ mar gayā hotā

kisi ke yaad karne ka agar hoti sabab hichki

mera mahbub ho kar ke pareshan mar gaya hota

  • Share this

More Poets From "Rampur"

Recitation

Speak Now