Sher of Meer Mohammad Sultan Aaqil
gāliyāñ diiñ us ne be-gintī hameñ
ham ne bose bhī to gin gin ke liye
galiyan din us ne be-ginti hamein
hum ne bose bhi to gin gin ke liye
ilāhī tū bhī pyārā but bhī pyārā phir sunūñ kis kī
idhar kuchh shaiḳh kahtā hai aur us jānib barahman bhī
ilahi tu bhi pyara but bhi pyara phir sunun kis ki
idhar kuchh shaiKH kahta hai aur us jaanib barahman bhi
shab-e-visāl meñ he he vo un kā sharmā kar
dabī zabān se kahnā ki aarzū kyā hai
shab-e-visal mein he he wo un ka sharma kar
dabi zaban se kahna ki aarzu kya hai
asal meñ jalva ye kis kā hai tū hī kah vaa.iz
terā rab aur sahī merā sanam aur sahī
asal mein jalwa ye kis ka hai tu hi kah waiz
tera rab aur sahi mera sanam aur sahi
pechīdgī-e-tab.a kī ye saaf hai dalīl
ma.anī ulajh ke rah ga.e un ke kalām meñ
pechidgi-e-taba ki ye saf hai dalil
mani ulajh ke rah gae un ke kalam mein
phīkī hai terī nasīhat saath mere ġhul machā
shor se nāseh namak aa jā.egā taqrīr meñ
phiki hai teri nasihat sath mere ghul macha
shor se naseh namak aa jaega taqrir mein