Sher of Mehshar Afridi
zamīñ par ghar banāyā hai magar jannat meñ rahte haiñ
hamārī ḳhush-nasībī hai ki ham bhārat meñ rahte haiñ
zamin par ghar banaya hai magar jannat mein rahte hain
hamari KHush-nasibi hai ki hum bhaarat mein rahte hain
-
Tag : Deshbhakti
mujhe jis haal meñ chhoḌā usī hālat meñ pāogī
baḌī īmān-dārī se tumhārā hijr kaaTā hai
mujhe jis haal mein chhoDa usi haalat mein paogi
baDi iman-dari se tumhaara hijr kaTa hai
'aql aur 'ishq laḌte rahe der tak
'aql maarī ga.ī 'ishq zinda rahā
'aql aur 'ishq laDte rahe der tak
'aql mari gai 'ishq zinda raha
tum mujhe apnī qasam de kar kaho
'āfrīdī' aap cigarette chhoḌ deñ
tum mujhe apni qasam de kar kaho
'afridi' aap cigarette chhoD den
tumhāre husn ko kab tak varaq varaq paḌhte
so ek raat meñ puurī kitāb paḌh Daalī
tumhaare husn ko kab tak waraq waraq paDhte
so ek raat mein puri kitab paDh Dali
vo kuchh ġhalat nahīñ thā hamīñ bevaqūf the
shīshe ko saaf karte rahe is taraf se ham
wo kuchh ghalat nahin tha hamin bewaquf the
shishe ko saf karte rahe is taraf se hum
jab tumhārī ye mātamī āñkheñ
muskurātī haiñ shor thamtā hai
jab tumhaari ye matami aankhen
muskuraati hain shor thamta hai
us kī maġhrūr havā tez qadam chaltī rahī
lau laraztī hī rahī merī pashemānī kī
us ki maghrur hawa tez qadam chalti rahi
lau larazti hi rahi meri pashemani ki