Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Miraash's Photo'

Miraash

1999 | Delhi, India

A young and emerging poet.

A young and emerging poet.

Miraash

Ghazal 11

Sher-o-Shayari 18

gard ā.inoñ chāroñ taraf hai jamī huī

'ālam 'ajīb shīsha-garī dukān hai

gard aainon ki chaaron taraf hai jami hui

'alam 'ajib shisha-gari ki dukan hai

  • Share this

ghar palaT kar jo mirī raushan-ḳhayālī aa.ī hai

shor hai shahr-e-suḳhan meñ phir divālī aa.ī hai

ghar palaT kar jo meri raushan-KHayali aai hai

shor hai shahr-e-suKHan mein phir diwali aai hai

  • Share this

jo mere banñe se pahle ik intizār banā

us intizār ke andar maiñ baar baar banā

jo mere banne se pahle ek intizar bana

us intizar ke andar main bar bar bana

  • Share this

ham dil dil meñ us pe uThā lete kuchh savāl

lekin ġhuyūb meñ bhī vo hāzir-javāb hai

hum dil hi dil mein us pe uTha lete kuchh sawal

lekin ghuyub mein bhi wo hazir-jawab hai

  • Share this

ḳhutūt aag meñ jalte haiñ aur sīḳhoñ par

kisī dil to jigar hai kisī parinde

KHutut aag mein jalte hain aur siKHon par

kisi ka dil to jigar hai kisi parinde ka

  • Share this

More Poets From "Delhi"

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now