Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mirza Athar Zia's Photo'

Mirza Athar Zia

1981 - 2018 | Azamgarh, India

Mirza Athar Zia

Ghazal 14

Sher-o-Shayari 15

harīm-e-dil meñ Thahar sarā-e-jān meñ ruk

ye sab makān haiñ tere kisī makān meñ ruk

harim-e-dil mein Thahar ya sara-e-jaan mein ruk

ye sab makan hain tere kisi makan mein ruk

kyā patā jaane kahāñ aag lagī

har taraf sirf dhuāñ hai mujh meñ

kya pata jaane kahan aag lagi

har taraf sirf dhuan hai mujh mein

maiñ adhūrā huuñ us ke andar

aur vo shaḳhs mukammal mujh meñ

main adhura sa hun us ke andar

aur wo shaKHs mukammal mujh mein

terī dahlīz pe iqrār ummīd liye

phir khaḌe haiñ tire inkār ke maare hue log

teri dahliz pe iqrar ki ummid liye

phir khaDe hain tere inkar ke mare hue log

ne ai vaqt palaT kar bhī kabhī dekhā hai

kaise haiñ sab tirī raftār ke maare hue log

tu ne ai waqt palaT kar bhi kabhi dekha hai

kaise hain sab teri raftar ke mare hue log

BOOKS 1

 

More Poets From "Azamgarh"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now