Sher of Mirza Azam Ali Azam
is liye chup haiñ ki koī nahīñ sunñe vaalā
varna kahne ko sarāpā lab-e-goyā ham haiñ
is liye chup hain ki koi nahin sunne wala
warna kahne ko sarapa lab-e-goya hum hain
zaḳhm kaarī lagā to chuum liyā
qabza ḳhanjar kā haath qātil kā
zaKHm kari laga to chum liya
qabza KHanjar ka hath qatil ka
zindagī bhar na yam-e-dīda-e-giryāñ Thahrā
kashtī-e-umr Duboī to ye tūfāñ Thahrā
zindagi bhar na yam-e-dida-e-giryan Thahra
kashti-e-umr Duboi to ye tufan Thahra