Sher of Mohammad Hasnain Parwez
she'r kahne pe baḌī daad milī hai mujh ko
haa.e afsos ki ash'ār ko samjhā jaatā
she'r kahne pe baDi dad mili hai mujh ko
hae afsos ki ash'ar ko samjha jata
kisī ne gin ke batā.e to dil hī Duub gayā
kabhī ye rang tumhāre mujhe bhī azbar the
kisi ne gin ke batae to dil hi Dub gaya
kabhi ye rang tumhaare mujhe bhi azbar the
ḳhudā ke haath meñ apnī ye Dor kitnī hai
maiñ har qadam pe hue sānahe pe sochtā huuñ
KHuda ke hath mein apni ye Dor kitni hai
main har qadam pe hue sanahe pe sochta hun
maiñ us ko chūmtā rahtā thā is salīqe se
ki mere hoñT pe surḳhī na aa.e gāloñ kī
main us ko chumta rahta tha is saliqe se
ki mere honT pe surKHi na aae galon ki
she'r kahnā bhī to zaḳhmoñ kī numā.ish hai miyāñ
daad milne pe mire zaḳhm hare hote haiñ
she'r kahna bhi to zaKHmon ki numaish hai miyan
dad milne pe mere zaKHm hare hote hain
is aziyyat ko mire yaar kahāñ jānte haiñ
maiñ badalte hue māhaul meñ Dhal jaatā huuñ
is aziyyat ko mere yar kahan jaante hain
main badalte hue mahaul mein Dhal jata hun