Sher of Mohsin Ehsan
ab duāoñ ke liye uThte nahīñ haiñ haath bhī
be-yaqīnī kā to aalam thā magar aisā na thā
ab duaon ke liye uThte nahin hain hath bhi
be-yaqini ka to aalam tha magar aisa na tha
maiñ munaqqash huuñ tirī ruuh kī dīvāroñ par
tū miTā saktā nahīñ bhūlne vaale mujh ko
main munaqqash hun teri ruh ki diwaron par
tu miTa sakta nahin bhulne wale mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sub.h se shaam huī rūThā huā baiThā huuñ
koī aisā nahīñ aa kar jo manā le mujh ko
subh se sham hui ruTha hua baiTha hun
koi aisa nahin aa kar jo mana le mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tanhā khaḌā huuñ maiñ bhī sar-e-karbalā-e-asr
aur sochtā huuñ mere taraf-dār kyā hue
tanha khaDa hun main bhi sar-e-karbala-e-asr
aur sochta hun mere taraf-dar kya hue
maiñ ḳharch kār-e-zamāna meñ ho chukā itnā
ki āḳhirat ke liye paas kuchh bachā hī nahīñ
main KHarch kar-e-zamana mein ho chuka itna
ki aaKHirat ke liye pas kuchh bacha hi nahin