aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1985 | Lucknow, India
anā-parast huuñ mil jā.ūñ ḳhaak meñ lekin
ḳharīd saktā nahīñ koī maal zar se mujhe
ana-parast hun mil jaun KHak mein lekin
KHarid sakta nahin koi mal zar se mujhe
gar kuchh nahīñ hai yaar tire paas ġham to hai
tū ḳhush-nasīb hai ki tirī aañkh nam to hai
gar kuchh nahin hai yar tere pas gham to hai
tu KHush-nasib hai ki teri aankh nam to hai
ham musāfir haiñ kahāñ ghar kī taraf dekhte haiñ
har ghaḌī miil ke patthar kī taraf dekhte haiñ
hum musafir hain kahan ghar ki taraf dekhte hain
har ghaDi mil ke patthar ki taraf dekhte hain
laakh tabdīliyāñ bāzāroñ meñ aa.eñ rahbar
maiñ vo sikka huuñ jo har daur meñ chal jā.ūñgā
lakh tabdiliyan bazaron mein aaen rahbar
main wo sikka hun jo har daur mein chal jaunga
aaj dekhā unheñ jab zamāne ke baad
aañkh nam ho ga.ī muskurāne ke baad
aaj dekha unhen jab zamane ke baad
aankh nam ho gai muskurane ke baad
Tarjuman
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books