Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Moin Shadab's Photo'

Moin Shadab

1971 | Delhi, India

One of the prominent poets associated with journalism and Mushaira

One of the prominent poets associated with journalism and Mushaira

Moin Shadab

Ghazal 19

Sher-o-Shayari 27

us se milne ḳhushī ba.ad meñ dukh detī hai

jashn ke ba.ad sannāTā bahut khaltā hai

us se milne ki KHushi baad mein dukh deti hai

jashn ke baad ka sannaTa bahut khalta hai

  • Share this

vo vaqt aur the ki buzurgoñ qadr thī

ab ek būḌhā baap bhare ghar pe baar hai

wo waqt aur the ki buzurgon ki qadr thi

ab ek buDha bap bhare ghar pe bar hai

  • Share this

terī nigāh to is daur zakāt huī

jo mustahiq hai usī tak nahīiñ pahuñchtī hai

teri nigah to is daur ki zakat hui

jo mustahiq hai usi tak nahiin pahunchti hai

  • Share this

is zāviye se peḌ lagāyā hai bhaa.ī ne

aatā nahīñ zarā bhī saaya mirī taraf

is zawiye se peD lagaya hai bhai ne

aata nahin zara sa bhi saya meri taraf

  • Share this

sardī aur garmī ke uzr nahīñ chalte

mausam dekh ke sāhab ishq nahīñ hotā

sardi aur garmi ke uzr nahin chalte

mausam dekh ke sahab ishq nahin hota

More Poets From "Delhi"

Recitation

Speak Now