Sher of Mukhlis Musavviri
maiñ ne maanā ki bahut aap hasīñ haiñ lekin
aap kā dil bhī hasīñ ho ye zarūrī to nahīñ
main ne mana ki bahut aap hasin hain lekin
aap ka dil bhi hasin ho ye zaruri to nahin
qubūl un kī duā.eñ zarūr hotī haiñ
ragoñ meñ apnī lahū jo halāl rakhte haiñ
qubul un ki duaen zarur hoti hain
ragon mein apni lahu jo halal rakhte hain
mere dil meñ mirī āñkhoñ meñ nazar meñ rahiye
kam se kam aap kisī ek to ghar meñ rahiye
mere dil mein meri aankhon mein nazar mein rahiye
kam se kam aap kisi ek to ghar mein rahiye
raat meñ tiir andhe chalāne lage
aur nishāne pe un ke nishāne lage
raat mein tir andhe chalane lage
aur nishane pe un ke nishane lage
Digriyāñ-yāfta hazāroñ haiñ
haiñ haqīqat meñ pass gintī ke
Digriyan-yafta hazaron hain
hain haqiqat mein pass ginti ke