Quotes of Munawwar Rana

Parhez duniya ki sabse kaargar dawaa hai lekin sabse kam istemaal hoti hai.

Neend to us naazuk-mizaaj bachchi ki tarah hai jo sabki god mein nahi jaati.

Maine ghurbat ke dino mein bhi biwi ko hamesha aise rakkha hai jaise muqaddas kitaabon mein mor ke par rakhe jaate hain.

Urdu mushaa'iron ki haveli dekhte-dekhte hi kaisi weeraan hoti ja rahi hai. Haveli ki munderon par rakhe hue charaagh eik-eik kar ke bujhte ja rahe hain. Aiwan-e-adab ki taraf le jaati hui sabse khoobsurat, pur-wiqaar aur pur-kashish pagdandi kitni sunsaan ho chuki hai. Khuda kare kisi bhi zabaan par ye bura waqt na aaye, koi kunba aise na bikhre, kisi khaandaan ka itni tezi se safaaya na ho, kisi qabeele ki ye durdasha na ho. Abhi kal ki baat hai ki mushaa'ire ka stage kisi bhare-pare dehaat ki choupal jaisa tha, stage par raunaq-afroz mohtaram sho'ara kisi dev-maalaai kirdaar maaloom hote the. In zinda kirdaaron ki maujoodgi mein tahzeeb is tarah phalti-phoolti thi jaise barsaat ke dinon mein ishq-e-pechaan oonchi-oonchi deewaaron ka safar tay karta hai.

Thakan maut ki pahli dastak ka naam hai.

Shaadi ke ghar mein sukoon dhoondhna railway station par asli mineral water dhoondhne ki tarah hota hai.

Aspataal aadmi ko zinda rakhne ki aakhiri koshish ka naam hai.

Hum sab Circus ke us joker ka role ada kar rahe hain jo hansaane ke liye rota hai aur rulaane ke liye khilkhila kar hans deta hai.

Shaadi waale ghar mein har shakhs masroof dikhaai deta hai, jiske paas kuch kaam nahi hota woh ziyaada hi masroof dikhaai deta hai.

Urdu Hindustani nasl ki woh ladki hai jo apne salone husn aur mithaas bhare lahje ki ba-daulat saari duniya mein mahboob-o-maqbool hai.

Sach poochen to shaai'ri woh nahi hoti jise aap misron mein qaid kar lete hain. Balki asl shaai'ri to woh hoti hai jiski khushboo aapke kirdaar se aati hai.

Maut, beemaari aur doctor se najaat na-mumkin hai.

Shaai'ri to woh sabr hai jiska baandh kabhi-kabhi to sadiyon ke baad toot'ta hai.

Doctor aur qasaai donon kaat-peet karte hain lekin eik zindagi bachaane ke liye ye sab karta hai jabki doosra zindagi ko khatm karne ke liye.

Pasti ki taraf jaati hui kisi bhi qaum ka pahla qadam apni zabaan ko raundne ke liye uthta hai.

Gaaon mein kisi ko paani pilaane se pahle mithaai nahi to kam-az-kam gud zaroor pesh kiya jaata hai. Jabki shahron mein paani pachees paise fee-gilaas milta hai. Ye farq hota hai kunwe ke meethe paani aur shahar ke pipon ke paani mein.

Aaj bhi gaaon mein eik aadmi ki maut ko gaaon ki maut samjha jaata hai. Marhoom ke saath qabristaan tak saara gaaon jaata hai. Lekin shahar mein shareek-e-ghum hona door ki baat hai. Kaandha bhi usi janaaze ko dete hain jiske lawaaheqeen se daame-dirme koi faaeda pahunchne waala ho.

Mashqqat ki roti mein sabse ziyaada nasha hota hai kyunki mashqqat ki roti ke khameer se khuda ki khushboo aati hai.

Zindagi aankhon mein khwaabon ki sunahri fasal ugaae taa'beeron ki barish ki muntazir rahti hai aur eik na eik din thak jaati hai.

Eik talkh haqeeqat ye bhi hai ki zabaan wahi mustanad aur maqbool hoti hai jo haakim ki hoti hai. Mahkoom ki koi zabaan nahi hoti.

Duniya agar sirf doctoron ke kahne par chalna shuroo' kar de to saari duniya ke kaarobaar thap pad jaayein.

Aspataal ki lift bhi itni sust-raftaar hoti hai ki bajaae bijli ke, oxygen se chalti hui mahsoos hoti hai.

Khaaksaari woh ne'amat hai jo peshaani par khush-naseebi ka sooraj ugaa deti hai.

Shaai'ri karna kunwe mein nekiyaan phenkne jaisa amal hai. Shaai'ri to woh imtihaan hai jiska nateeja aate-aate ka'ee naslein mar-khap chuki hoti hain.

Gheebat aur paan ka rishtaa bahut puraanaa hai.

Science apne wujood ki aahat ko soor-e-israafeel saabit karne ke liye chaand par charkha kaatti hui budhiya ke paas pahunch gayi lekin zindagi roz shikre ke panje mein dabi gauraiyya ki tarah phadphada kar aankhen band kar leti hai.

Musha'ira kabhi adab ki tarseel aur nau-umron ki zahni tarbiyat ki jagah tha. Lekin ab sirf jazbaat bhadkaane ki jagah hai.

Musalmaanon ki rishtedaariyaan bhi resham ki uljhi dor ki tarah hoti hain. Suljhaane se aur ziyaada ulajhne ka khatraa rahta hai.

Aaj tak doctari woh muqaddas pesha hai jiske e'tibaar ki chaadar ke neeche baap apni beti, bhaai apni jawaan bahan ko tanha chhod deta hai. Har-chand ki is peshe mein bhi kuch kharaab log aa gaye hain magar kharaab logon se kaise aur kahaan bacha ja sakta hai. Kyunki ye to masjid aur mandiron mein bhi mandlaate hue mil jaate hain.

Urdu Hindustani tahzeeb ki woh chaadar hai jiske chaaron konon ko iske naam-nihaad muhaafiz apni khud-gharziyon ke daanton se kutar rahe hain.

Urdu adab mein paida hone waale taqreeban sabhi khud-saakhta khudaaon se mujhe ikhtilaaf hi nahi balki nafrat bhi rahi hai.

Azeem Hindustan woh aaeena-khaana hai jismein duniya ki muhazzab qaumen apna saraapa dekh sakti hain.

Mushaa'iron mein aajkal naqli kalaam dawaaon se ziyaada istemaal ho raha hai.

Urdu tanqeed ka sabse bada mas'ala yahi raha hai ke jis par likha jaana chaahiye tha us par nahi likha ja raha hai aur jis par likha ja raha hai woh likhe jaane ke laaeq nahi.

Aaj poore barr-e-sagheer mein Urdu ke itne wafaadaar bhi nahi milenge jitne jaan-nisaaron ki zaroorat dauran-e-jung eik-aadh sarhadi chowki ke liye padti hai.

Urdu ko har zamaane mein lashkari zabaan ke khitaab se nawaaza jaata raha hai. Lekin ye afsos ka maqaam hai ki iski tarweej-o-taraqqi ke liye jangi paimaane par kabhi kaam nahi hua. Ghaaliban iski wajah yahi rahi hogi ki us lashkar ki kamaan aise logon ke haathon mein rahi hai jo ya to khud baisaakhi lekar chalte rahe hon ya unhein aise waqt mein kamaan-daari saunpi gayi jab unki kamar khud za'eefi, beemaari aur ehsaas-e-kamtari ka shikaar ho chuki thi.

Iqtidaar jabr-o-tashaddud se nahi balki hikmat-e-amali aur ilm se haasil hota hai.

Urdu waalon ne takhleeq se ziyaada tanqeedi khusur-pusur mein apna qeemti waqt zaaye’ kiya hai.

Internet ki madad se Angrezi adab ke do-chaar be-rabt lekin bhaari-bharkam jumlon ka tarjuma karke Urdu adab mein farzi ro'ab gaanthne waale farmi andon ki tarah itne naaqid paida ho rahe hain ki tanqeed se adab ko faaide ka imkaan hi khatm ho gaya hai.