aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1992 | Sargodha, Pakistan
mahv-e-safar huuñ ḳhitta-e-duniyā ke us taraf
aur ḳhud ko hoshiyār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
mahw-e-safar hun KHitta-e-duniya ke us taraf
aur KHud ko hoshiyar nahin kar raha hun main
āvāz ko ġhubār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
māhaul dāġh-dār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
aawaz ko ghubar nahin kar raha hun main
mahaul dagh-dar nahin kar raha hun main
dariyā se to muāhida tai pā gayā magar
kashtī kā e.atibār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
dariya se to muahida tai pa gaya magar
kashti ka eatibar nahin kar raha hun main
ye vaqt kaifiyāt se bhartā nahīñ kabhī
ye jaam iḳhtiyār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
ye waqt kaifiyat se bharta nahin kabhi
ye jam iKHtiyar nahin kar raha hun main
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books