Sher of Mustafa Rahi
dekhiye kab tak yahī hālat yahī aalam rahe
dil kī har dhaḌkan ye kahtī hai ki vo aane ko haiñ
dekhiye kab tak yahi haalat yahi aalam rahe
dil ki har dhaDkan ye kahti hai ki wo aane ko hain
dil dhaḌaktā hai sitāroñ kā yahāñ
uf ye duniyā kis qadar tārīk hai
dil dhaDakta hai sitaron ka yahan
uf ye duniya kis qadar tarik hai
allāh tere haath hai ḳhuddāriyoñ kī laaj
dānista hādsāt se Takrā gayā huuñ maiñ
allah tere hath hai KHuddariyon ki laj
danista hadsat se Takra gaya hun main
ādamiyyat kā zikr kyā nāseh
aadmī ab kahāñ haiñ saa.e haiñ
aadamiyyat ka zikr kya naseh
aadmi ab kahan hain sae hain
ḳhvāhish sukūn kī hai na ab iztirāb kī
allāh re zideñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb kī
KHwahish sukun ki hai na ab iztirab ki
allah re ziden dil-e-KHana-KHarab ki
kyā ḳhabar thī is qadar pur-kaif naġhme haiñ nihāñ
zindagī ko ek sāz-e-be-sadā samjhā thā maiñ
kya KHabar thi is qadar pur-kaif naghme hain nihan
zindagi ko ek saz-e-be-sada samjha tha main
shāyad hī raas aa.e mujhe aish-e-marg bhī
'rāhī' ġham-e-hayāt kā maarā huā huuñ maiñ
shayad hi ras aae mujhe aish-e-marg bhi
'rahi' gham-e-hayat ka mara hua hun main
be-ḳhudī meñ shān-e-ḳhuddārī bhī hai
ḳhvāb meñ ehsās-e-bedārī bhī hai
be-KHudi mein shan-e-KHuddari bhi hai
KHwab mein ehsas-e-bedari bhi hai
ai dil na kar qubūl mire dil na kar qubūl
manzil shikast-e-shauq hai manzil na kar qubūl
ai dil na kar qubul mere dil na kar qubul
manzil shikast-e-shauq hai manzil na kar qubul
na samjhā koī asrār-e-mohabbat
jo samjhā kuchh dil-e-nādān samjhā
na samjha koi asrar-e-mohabbat
jo samjha kuchh dil-e-nadan samjha
vo bhī aane ko haiñ qayāmat bhī
dekhiye kaun peshtar aa.e
wo bhi aane ko hain qayamat bhi
dekhiye kaun peshtar aae
laakh bhāge zad pe jab aa jā.egī
zindagī terī qazā khā jā.egī
lakh bhage zad pe jab aa jaegi
zindagi teri qaza kha jaegi
ḳhuddāriyoñ pe ishq kī ilzām aa gayā
kyuuñ be-ḳhudī meñ lab pe tirā naam aa gayā
KHuddariyon pe ishq ki ilzam aa gaya
kyun be-KHudi mein lab pe tera nam aa gaya
dhokā thā jis pe mauj-e-nasīm-e-bahār kā
ik sail-e-be-panāh thā barq-o-sharār kā
dhoka tha jis pe mauj-e-nasim-e-bahaar ka
ek sail-e-be-panah tha barq-o-sharar ka