Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Muzaffar Abdali's Photo'

Muzaffar Abdali

1971 | Delhi, India

Sher of Muzaffar Abdali

bahaknā merī fitrat meñ nahīñ par

sambhalne meñ pareshānī bahut hai

bahakna meri fitrat mein nahin par

sambhalne mein pareshani bahut hai

ret par ik nishān hai shāyad

ye hamārā makān hai shāyad

ret par ek nishan hai shayad

ye hamara makan hai shayad

ḳhudā bhī kaisā huā ḳhush mire qarīne par

mujhe shahīd darja milā hai jiine par

KHuda bhi kaisa hua KHush mere qarine par

mujhe shahid ka darja mila hai jine par

rah-guzar hai taqāzā ki abhī aur chalo

ek ummīd jo manzil ke nishāñ tak pahuñchī

rah-guzar ka hai taqaza ki abhi aur chalo

ek ummid jo manzil ke nishan tak pahunchi

kashtiyāñ likhtī raheñ roz kahānī apnī

mauj kahtī rahī zer-o-zabar maiñ huuñ

kashtiyan likhti rahen roz kahani apni

mauj kahti hi rahi zer-o-zabar main hi hun

Recitation

Speak Now