Sher of Muzaffar Ahmad Muzaffar
maiñ jab bhūke parinde dekhtā huuñ apne āñgan meñ
mujhe apne vatan ke nange bachche yaad aate haiñ
main jab bhuke parinde dekhta hun apne aangan mein
mujhe apne watan ke nange bachche yaad aate hain
musalmāñ thā magar terī adā-e-fitna-parvar ne
dikhā kar kākul-e-pechāñ mujhe kāfir banā Daalā
musalman tha magar teri ada-e-fitna-parwar ne
dikha kar kakul-e-pechan mujhe kafir bana Dala
hazāroñ baar sīñchā hai ise ḳhūn-e-rag-e-jāñ se
ta.ajjub hai mire gulshan kī vīrānī nahīñ jaatī
hazaron bar sincha hai ise KHun-e-rag-e-jaan se
tajjub hai mere gulshan ki virani nahin jati
ham talḳhī-e-hayāt ko āsāñ na kar sake
sahrā-e-zindagī ko gulistāñ na kar sake
hum talKHi-e-hayat ko aasan na kar sake
sahra-e-zindagi ko gulistan na kar sake