aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1800 - 1882 | Lucknow, India
vaah kyā is gul-badan kā shoḳh hai rañg-e-badan
jāma-e-ābī agar pahnā gulābī ho gayā
wah kya is gul-badan ka shoKH hai rang-e-badan
jama-e-abi agar pahna gulabi ho gaya
maġhfirat kī nazar aatī hai bas itnī sūrat
ham gunāhoñ se pashemān rahā karte haiñ
maghfirat ki nazar aati hai bas itni surat
hum gunahon se pasheman raha karte hain
ka.abe chaltā huuñ par itnā to batā
mai-kada koī hai zāhid raah meñ
kabe chalta hun par itna to bata
mai-kada koi hai zahid rah mein
nazzāra-e-qātil ne kiyā mahv ye ham ko
gardan pe chamaktī huī shamshīr na sūjhī
nazzara-e-qatil ne kiya mahw ye hum ko
gardan pe chamakti hui shamshir na sujhi
raunaq gulshan jo vo riñd-e-sharābī ho gayā
phuul sāġhar ban gayā ġhuncha gulābī ho gayā
raunaq gulshan jo wo rind-e-sharabi ho gaya
phul saghar ban gaya ghuncha gulabi ho gaya
Deewan-e-Aseer
1870
deewan-e-Mushafi
Intikhab-e-Mushafi
1990
Deewan-e-Mushafi Ka Taqabuli Mutala
1996
Ghamkada-e-Taskheer
1876
Gulshan-e-Tashshuq
1899
Intikhab-e-Sukhan (Silsila-e-Ameer-o-Aseer)
Volume-008
1983
Maarij-ul-Fazail
1895
Majma Al-Bahrain Zuulisaanain
Volume-001
1906
Majma-ul-Bahrain Zoo Lisanain
Volume-002
Majma-ul-Bahrain Zulisanain
DO Jild
Sign up and enjoy FREE unlimited access to a whole Universe of Urdu Poetry, Language Learning, Sufi Mysticism, Rare Texts
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books